Followers

kuch kahi kuch ankahi si ye zindagi ki kahani hain, kuch shabdo se bani to kuch khamoshi se buni ye dhadkano ki jubaani hain, Sirf meri ya tumhari nahi, ye har kisi ki kahaani hai........

Wednesday, November 5, 2008


DIARY OF AN UNBORN CHILD

Today I am excited; with happiness I'm wild,
My mother will come to know she bears me
for I'm her unborn child

She is quite nervous but
My father tells her to be bold
She approaches and this is
what she is told;

"We have performed all the tests
Let's hope for the best"
But......................suddenly

She is unhappy, all her hopes are shattered;
I come to know that its not me
but a BOY that matters

Today I'm sad:
With sorrow I'm going mad
My mother is going to get me killed
'Cause all she longs for is a lad'.

Tuesday, November 4, 2008


These poems r written long time back, but i hope still retain its essence............

KAVITA AUR RESEARCH

Mera ek dost
Jo ki be-rojgaar hai
Desh ki economic policies ka
Shikaar hai

Wo mere paas aaya
Sukhhe honthho se batlaaya
Aur apna dukhhda sunaaya
Bola - mujhhe batao
Aisaa koi dhandhaa
Jo kabhi naa pade mandaa

Mai bolee - kavi ban jaao
Khud hanso aur doosro ko roolao
"Par mujhhe to
Kavita karni nahi aati"-
Wo bola

"Kise aati hai?" maine puchha -
"Sachhi kavita to wahi hoti hai
Jo churaayi jaati hai
Tum bhi do-chaar kavita churaao
Unme shabdo ka masaala milaao
Ek mahaan kavita ban jaayegi
Aur tumhaara naam bhi
Kaviyon ki list me chhap jaayega"

"Par wo to chori kehlaayegi" - wo bola
Maine samjhhaya -
Dost, tum ho bahut bhole
Ye hai koraa sach
Yeh kavita ki chori nahi
Ye to kehlaati hai RESEARCH

--------------------suman agrawal

POLICE KI LAACHAARI

Chouraahe ke paas khhadi thi, gumsum ek hasina
Manjnoo uske pichhe lag gaya, aaya use paseena
Dekhee saamne police khhadi hai, use dhairytaa aayi
Paas jaakar dukhhda roi, saari baat bataai

Traffic police man se boli, tau mujhhe bachaao
Is ekkisavi sadi ke manznoo se pichha chhudwaao
Traffic policeman yu bola, kis chakkar me aap hai??

Duty par hu, warna mai bhi mauka nahi ganwaata
Kisko roku, mai khhud tere pichhe-pichhe aata!!!

-----------------------------------------suman agrawal


CHEER HARAN

Ai watan
Dekhh kar tujhhe
Bhar bhar aate
Mere nayan
Kauravo ki rajneeti me
Hua draupadi ka cheer haran
Dashrathh ki rajneeti me
Hua ram ka van gaman
Aur teri rajneeti me
Sachhaai odhhe hai kafan
Har or gaban
Gaban hi gaban
Ai watan!!
Dekhh kar tujhhko
Bhar bhar aate
Mere nayan

------------suman

AADHHUNIK DRAUPADI (modern draupadi)

Patni ki or dekhkar
Pati bola -
Apna aadarsh mai
Dashrathh ko banaunga
Us ki teen raaniya thhi
Mai bhi
Do aur laaongaa

Patni sayaani thhi
Iteehaas jaanti thhi
Wo dheere se muskai
Aur paanch patiyo waali
Draupadi ki yaad dilaayi
boli -
Aap do aur laayenge
Mai chaar aur byahungi

---------------suman

HINDI

Ek din mamla yun bigada
Ki hamare zile ke
Netaji se ho gaya jhhagda

Swabhaav se netaji garm hai
Par mai narm hu
Iska ye matlab to nahi
ki mai besharm hu

Mazboori me muh kholti hu
Par kisi se darti nahi hu
Maine boss se kaha -
14 sept. ko hindi diwas manana hai
Us din hindi ke prati hamdardi dikhhana hai

Hindi ki taarif me
Pul hi nahi, nadi tak ko bandhhna hai
Aap bachho ko convent me padhhate hai
Par hindi diwas par, hindi ko hi
Desh ki sabse achhi bhaasha batanaa hai

Hindi diwas par netaji ne
Kisi tarah
Hindi me hi bhashan diya
Hindi ki taareef me, angreji ko aade haathho liya

Fir taaliyon se goonja manch
Chamcho ke saathh liya lunch
Khhatm ho gayi baat hindi apnaane ki
Fursat paa gaye agle saal ki

Hindi ki durdashaa ke liye
Ghadiyaali aansoo bahaane ki

-----------------suman agrawal


COLLEGEE

Mazedaar college, hua hamko knowledge
Kabhi bhi na daman chhurayenge hum

Jo bazte hai record class me aakar
Use lutf lekar bajaayenge hum

Hame nahi padhna, professor padhhaye ya jaaye
Jawaani ke jalwe dikhhayenge hum

Kabhi laad karke, kabhi jhhad karke
Pitajee ko uloo banayenge hum

Tarakki par hai aaj ki filmi duniya
Cinema me siti bajaayenge hum

Banenge na ilmi, banenge hum filmi
O lailaa ke manjnoo kahayenge hum

Bhale paas hove, bhale fail hove
Nahi fikr, fidarat uthhayenge hum

--------------------suman agrawal

SEWA SHULK (service tax)

Usne garaz kar kaha
Aap kaam chor
Pakke ghus-khor hai
Apkaa dhyaan kewal
Paiso ki or hai
Ab aap apni
Aadat ko chhodiye
Rashtriya dhaara se
Sawyam ko jodiye

Wah bola - mahashay
Kya aap kehte hai
Hum to is rog se
Koson door rehte hai
Aap aisee halkee
Baat mat kijiye
Maan, izzat thhodi
Hame bhi dijiye

Yeh gairon ka nahi
Apna hi mulk hai
Aap jise ghhons kehte hai
Wah ghhoons nahi
Maatr sewa shulk hai

-------------------suman

MACHHAR BANAAM PUNJIPATI (masquito and capitalist)

Kavi jee so nahi paa rahe thhe
Machhar unhe betaraha sataa rahe thhe

Kavi ne maara ek jhhaptta
Pakad liya machhar ka ek pathha
Bole - kyo bey tu dusro ka shoshan karta hai
Punji-patiyo ki tarah dusro ke
Rakt se apna poshan karta hai

Machhar bola - kavi, apne bal bachho ki khair manao
Par, kripa kar mujhhe punjipati mat banao
Mai punjipatiyo ki tarah aawshyktaa se adhhik lekar
Tijori me to nahi rakhhta hu

----------------------------suman agrawal

RASHTRIYA SAMPATTI

Apne awaare
Ladke ke haath me
Rail ka pankhha dekhh kar
Wo bola - barkhhudaar
Ye pankhha churaakar
Kyon laaye ho??
Ladka bola -
Pita jee!!
Rashtriya sampatti ke
Bantwaare me
Ye pankhha mere
Hisse me aaya hai!!!!


----------------------suman

GAANDHI JI KI PIDA

Aaj subah subah
Ek sapna aaya
Gandhhi ji ke
Chehre par chintaa
Dekhkar dil
Bahut ghabraaya
Mai boli - BAAPU
Shankaa mitaao
Dayaakar udaasi ka
Kaaran batao?
We bole - putri
Apni deshwaasiyon ki
Dekhkar durgati
Rona aata hai
Yuva pidhhi path bhrasthh
Hotalo me jaati hai
Dahi doodh chhachh chhod
Daaru ki aur daudati hai
Taang murge ki
Shaan se todti hai
Fail gaya ghar-ghar
Pashchimi prabhaav hai
Maan budhhe-budhhiyo ka
Samaapt hota jaa raha hai
Bahu ab saas ko
Aankhe dikhaati hai
Chintaa yahi hai putra
Jo mujhhe khaati jaati hai
---------------------suman agrawal

Monday, November 3, 2008


CHITRAKAAR

Apne banaaye chitra ko dekh
Jab chitrakaar hans pada
Tasveer bol padi
Jin haathhon ne mujhhe banaya hai
Wah tere nahi
Uske hai
Jo tere pichhe khada hai

Kalam tere haathh me thi
Magar chalaa wah rahaa thha
Kehne ko rang tere thhe
Magar lagaa wah rahaa thha
Hansee teri hai
Magar hans wo raha hai
Uskee kalakaari pe

Mai bhi hairaan hu

Sab kuchh karte hue bhi
Kyon parde me khhada hai


KOSHISH
Is hal me bailo ke saathh hans bhi jute hai
Is haar me phoolon ke saathh kaante bhi guthhe hai

Maut chalti hai zindagi ke saath, is safar me
In geeton me roshni ke saahh andhhere bhi pute hai

Ham to bekhabar thhe gehree neend me
Lekin jo jage thhe we to yahan hamse jyada loote hai

Tum aandhhiyon ko dosh de rahe ho
Hum hai ki chiraag jalaane me jute hai

Rang heena ka kuchh bhi ho, khil ke rehta hai
Pyar ki jido se lakeer
Hathheliyon ke kab roothhe hai
------------------------amit shekhar

PARWAAZ

Ek phool ki hansee me bhi taakat hai
Wah bekhabar hai, iseliye siyasat hai

Unke chehre se rang chura kar hi
Ishq ban jaata qayamat hai

Unke pair lahu-luhaan hai, raah mazboor
Safar ko bhi kahan raahat hai

Sapne choor ho chuke to kya
Yahi to sapno ki riwaayat hai

Ek aas se latkaa hua hai teg
Meri gardhan ko bhi shikaayat hai

Par kati is chiriya ke housale me
Aasmaano ko parwaaz ki chaahat hai

---------------------------Amit shekhar

Sunday, November 2, 2008



KUCHH KAVITAAYE
JO SHAYAD TUMHARE DIL KO CHHU JAAYE
JO TUMHAARI ROOH TAK UTAR JAAYE
KABHI TUMHE GUD-GUDAAYE
AUR WAH GUDGUDI
KISI CHHALAKATI AANKH TAK PAHUNCH JAAYE
JO SOCH BADLE
RAAH MODE
KAVITA KYA NAHI
KAVITA BAHUT KUCHH
BASHARTE KI WO SAMAJHH AA JAAYE

JHHONKA



Basanti bayaar ke saath jo sarson ka rishta hai
Usko samajhh me nahi aata jo mehalo me rehta hai

Jisne rachaa sunahraa suraj, jisne taanke chaand sitaare
Wahi mere sapno ko bun kar tukde-tukde karta hai
................Amit shekhar
------------------


DASTAK


Wah dastak dega to mai darwaaza nahi kholunga
Taash ke patto ke apne ghar ko itani aasani se nahi todungaa

Wah dil me rehta hai, aur bade chupke se rehta hai
Uska raaz mai khud pe bhi kabhi-kabhi hi kholungaa
--------------------Amit shekhar
--------------------


KHAAR


Wo kitna aam dikhta hai
jaroor usme koi khaas baat hogi

koi hans de to kali khil jaaye
kabhi dard ki itanee bisaat hogi

Chandani raat usko pasand nahi aati
Uske jehan me koi barsaat hogi

Wah khushi se mehroom rehna chaahta hai
Paas uske azeez koi ghum ki raat hogi
-----------------



SUNI-ANSUNI


mai bahaar ke liye itna tarsha hu
ki nigaanho ki khoosbu mere liye kaafi hai

mai sir se paanv tak mukkammal gunaah hu
lekin hu, ye uski maafi hai

Nadi kaat ke kinaaro ko behti hai
kinaaro ki bhi hoti isme haami hai

koi rok ke rasta mera khada hai
meri parchhai hi mujhh par haavi hai

ve awaaz de rahe hai mujhhe khamosh lab se
maine sun kar na sunane ki thhani hai

Ek kadam par hi to khade hai ve
par ek kadam bhi chalna kitna bhaari hai

Ve mere dil ko sar ka taaz bana baithhe hai
shayad mashiha banane ki taiyaari hai
-----------------------


FASAL


Dard ki sar-zameen par hi baste hai anand ke gaanv
Aaho ke darakhto se hi milti hai sukoon ki chhanv

Jab saare ehsaas ghul kar ek ho jaate hai
tab hi saagro ko milta hai ek boond me thhanv

Jab sab kuchh lut chuka hota hai, jindagi ki baazi me
Tab hi bisaat pe padta hai, Alaah ka daanv

Tere saath uska saaya tha aur hamesha rahega
Ye wishvas seene me utarta hai tab hi nange paanv
------------Amit shekhar
------------------


SAAZ



Ye to zindagi hai, kya maut isase bhi khaufnaak hogi
mai to jal chuka hu, kya ye mitti aur bhi pak hogi

Aansu-o ka samandar hai, yahan se wahan tak
Jo ab bhi nam nahi hui, kya wah khaak hogi

Do-jakh aur jannat me hai fark bas itna
Yahan aag ke jalve, wahan thhandi raakh hogi
Resha-resha dilo-dimag ka jab dard se tan jaaye
Is saaz ki tabhi maalik ki nazar me saakh hogi
------------------Amit shekhar
-----------------------


KHUSHI


Na jaane mera aur
khushi ka naata hai kaisa
mai bhagti hu pichhe iske
aur wah ishaara kar itaraati
ithhalaati nikal jaati hai aage
kabhi-kabhi bahut koshish ke baad
pakda uska haath
Lekin kadam rakhne se pehle hi wah
hath chhuda kar chali jaati hai
aur mai apni khaali
Hathheliyon ko dekhti reh jaati hu
jab-jab bhi maine karna chaha
sukhad sparsh uska
------------------


DALDAL



jitnee bhi aankhe dekhi
Udaas dekhi
hansee dekhi to
dard tairta hua dekha
Dard dekha to manjhhdhar me
chhupa hua insaan dekha
Ye kaisee duniya hai
jisme har koi daldal
me fansa hai
na bahar hai
aur na hi bhitar
----------------------------


ZINDAGI



Jindagi kabhi mujhhe
puri nahi mili
Jab bhi mili
boond-boond mili
jeevan kabhi ek saath
lagataar nahi mila
jab bhi mila
chhan-chhan me mila
maine bhi har boond ko
pee liya
thhoda-thhoda hi sahi
chhan-chhan ko jee liya
-------------------------


KHWAHISHE


Ab hansne ka mann nahi karta
kisi se milne ka mann nahi karta
Ye tamasha jise tum kehte ho duniya
uska tamashbeen banane ka mann nahi karta

Ek aaina tha, jo mere dekhte hi toot gaya
Uske tukdo me sanvarne ka mann nahi karta
wah jo jalta hai chiraago me dheere dheere
us khwab ko masalne ka mann nahi karta

jis dhhage se mai bandha hun is duniya se
kamzor hai, par todne ka mann nahi karta
Mai roz marta hu roj jeeta hu
magar Uff bhi karne ka mann nahi karta

----------------------------


KUCHH SAWAAL KUCHH JAWAAB



Jivan kuchh-kuchh adhura sa lagta hai

kuchh bhi paa lo
magar kuchh khone ka ehsaas sa lagta hai
chal rahe hai
par pichhe kuchh chhut gaya-aisa lagta hai
sach bolo mere saathi
kya tumko bhi kabhi aisa waisa lagta hai
Haan kyonki
is adhhurepan ke pichhe
Us purnatva ko paa lene ki chaah chhipi
kuchh bhi paa lene ke pichhe
uske khone ki sachhi kadwahat ruki
chalte hi rehna jeevan
par iske rookne ke pichhe hai maut chhipi yahi
jeevan darshan re
iske pichhe hi jeevan ki muskuraahat ruki
-----------------------


EK BAATCHEET BHAGWAAN KE SAATH



Preet ki yeh kya reet hui
jab tumse parichay bhi na tha
tum aaye, jeevan me samaaye
sahaara diya, haath thhame
bhav jagaaye
fir jaane kya bhool hui
pukaarti hu - din aur raat
subah aur shaam
aate ho, pal ko, chhip jaate ho
Aansoo ponchh dete ho, muskuraate ho
fir chhip jaate ho kahin jaakar
ye jaane kya baat hui
swar kanthh me aate hai - ruk jaate hai
bhaavo se bhara mann bhatak gaya
ye kaun thhak gaya??
ye mai nahi..awashya koi saaya hai
is saaye ko mita do - parda uthha do
mere bhaavo ke sutradhaar
meri saadhnaa sampann karo aakar
---------------------


JEEVAN SAAR



Aii zindagi tujhhse sawaal puchhte-puchhte
mai khud ek sawaal ban gayi hu
Andhero me roshni dhoondhte-dhoondhte
khud ek mashaal ban gayi hu

Na kisi ne sawaal sune
Na tha koi jo unke jawaab deta

Magar kismat ka takaaja dekho
Gali-gali ka charcha-a-haal ban gayi hu

Pyaar paane ko tadpaa mann ek din
ki badal gaye maane sneh sansaar ke
yeh nayaa arth prem ka samjhhte-samjhhte
Beshumaar prem ka ehsaas pa gayi hu

Paane ki chaah me khoya bahut kuchh
paane aur khone me antar kahan
Falsafaa jeevan ka yo samjhhte-samjhhte
sansaar me apne aane ka saar paa gayi hu
---------------------


KUCHH LIKHAA MAINE



Sochti hu aaj mai kuchh likh hi du
Kya kahoo, kisase kahoo, kuchh likh hi du

likhh du ki koi sunta nahi kisi ki yahan
hai har kisi ki apni ek alag duniya
Pyar ki sabko jaroorat hai magar
nafarato ki aag me jalte hai kyo
Sochti hu aaj mai kuchh likh hi du
Kya kahoo, kisase kahoo, kuchh likh hi du
Jo bhi aaya meri samajhh me sahi ya galat
kam se kam apni samajhh to likhh hi du
Sochti hu aaj mai kuchh likh hi du
Kya kahoo, kisase kahoo, kuchh likh hi du



MANN KI AWASTHHA


zab mann akulaata hai
tab khud se hi batlaata hai
simatataa hai kuchh tham jaata hai

jab mann machaltaa hai
kuchh todtaa hai
kuchh jodtaa hai

jab mann sambhaltaa hai
tab
saath sabhi ke chaltaa hai
------------------


ZINDAGI


shuru-aat ne kiya shuru meri jindagi ka silsila
Kafi dino ke baad jab se mai mila

kaha zindagi ne mujhhse tune ab talak kya paaya hai
kuchh paaya bhi hai ya nahi ya jeevan yu hi gawaya hai


Maine kaha, Aee zindagi!! kya puchhti hai mujhhse tu?
Tune hi to apne haatho mujhhe khel ye khilaaya hai


Mudh ke dekhaa jindagi ko tajurbe ne, fir ye kaha
kuchh khoya hai, kuchh paaya hai, kuchh waqt kiya jaaya hai

Nafrat ko bheja tune past karne mere imaan ko
to dekh nafrat kahan gayi jab pyar saamne paaya hai

Banda hu, ye bandagi hai, khidamat me gujare zindagi
Chand saanse bakhs de aur mujhhe maine apna sar jhhukaya hai
---------------


BOL


apni baat ko awaaz do, kuchh kaho ajnabi
Kuchh tumame bhi hai daba, usako kuredo ajnabi

Ye imtehaan mar ke bhi khatm na hoga
Is imtehaan ko aaine sa dekho ajnabi

Agar haar maan lee to haar jaoge
roshni me andhero se raho ajnabi

Ye ek khwaab hai har kisi ne dekha hai
is khwaab ke tootne se na tooto ajnabi

---------------------


SOME ONELINERS



Mai wo bhanwara hu, jo kaanto par bhi mandraya
Taqdeer me jo likha hai, wo sab nibhaya

Mai zindagi ki adalat se ba-izzat bari ho gaya
maut ne saara ilzaam apne sar le liya

Zindagi aur maut ek ghaat se paani piye
Sach to ye hai ki hum har pal jitana mare utna jiye

Har shakhs apna apna khudaa khud banata hai
jiskee nazare inayat se dil ko aaraam ho
Aadmi usi par fida hota hai

About Me

My photo
Nothing to describe.... A girl with thousand faults 🙅