KUCHH KAVITAAYE
JO SHAYAD TUMHARE DIL KO CHHU JAAYE
JO TUMHAARI ROOH TAK UTAR JAAYE
KABHI TUMHE GUD-GUDAAYE
AUR WAH GUDGUDI
KISI CHHALAKATI AANKH TAK PAHUNCH JAAYE
JO SOCH BADLE
RAAH MODE
KAVITA KYA NAHI
KAVITA BAHUT KUCHH
BASHARTE KI WO SAMAJHH AA JAAYE
JHHONKA
Basanti bayaar ke saath jo sarson ka rishta hai
Usko samajhh me nahi aata jo mehalo me rehta hai
Jisne rachaa sunahraa suraj, jisne taanke chaand sitaare
Wahi mere sapno ko bun kar tukde-tukde karta hai ................Amit shekhar
------------------
DASTAK
Wah dastak dega to mai darwaaza nahi kholunga
Taash ke patto ke apne ghar ko itani aasani se nahi todungaa
Wah dil me rehta hai, aur bade chupke se rehta hai
Uska raaz mai khud pe bhi kabhi-kabhi hi kholungaa
--------------------Amit shekhar
--------------------
KHAAR
Wo kitna aam dikhta hai
jaroor usme koi khaas baat hogi
koi hans de to kali khil jaaye
kabhi dard ki itanee bisaat hogi
Chandani raat usko pasand nahi aati
Uske jehan me koi barsaat hogi
Wah khushi se mehroom rehna chaahta hai
Paas uske azeez koi ghum ki raat hogi
-----------------
SUNI-ANSUNI
mai bahaar ke liye itna tarsha hu
ki nigaanho ki khoosbu mere liye kaafi hai
mai sir se paanv tak mukkammal gunaah hu
lekin hu, ye uski maafi hai
Nadi kaat ke kinaaro ko behti hai
kinaaro ki bhi hoti isme haami hai
koi rok ke rasta mera khada hai
meri parchhai hi mujhh par haavi hai
ve awaaz de rahe hai mujhhe khamosh lab se
maine sun kar na sunane ki thhani hai
Ek kadam par hi to khade hai ve
par ek kadam bhi chalna kitna bhaari hai
Ve mere dil ko sar ka taaz bana baithhe hai
shayad mashiha banane ki taiyaari hai
-----------------------
FASAL
Dard ki sar-zameen par hi baste hai anand ke gaanv
Aaho ke darakhto se hi milti hai sukoon ki chhanv
Jab saare ehsaas ghul kar ek ho jaate hai
tab hi saagro ko milta hai ek boond me thhanv
Jab sab kuchh lut chuka hota hai, jindagi ki baazi me
Tab hi bisaat pe padta hai, Alaah ka daanv
Tere saath uska saaya tha aur hamesha rahega
Ye wishvas seene me utarta hai tab hi nange paanv
------------Amit shekhar
------------------
SAAZ
Ye to zindagi hai, kya maut isase bhi khaufnaak hogi
mai to jal chuka hu, kya ye mitti aur bhi pak hogi
Aansu-o ka samandar hai, yahan se wahan tak
Jo ab bhi nam nahi hui, kya wah khaak hogi
Do-jakh aur jannat me hai fark bas itna
Yahan aag ke jalve, wahan thhandi raakh hogi
Resha-resha dilo-dimag ka jab dard se tan jaaye
Is saaz ki tabhi maalik ki nazar me saakh hogi ------------------Amit shekhar
-----------------------
KHUSHI
Na jaane mera aur
khushi ka naata hai kaisa
mai bhagti hu pichhe iske
aur wah ishaara kar itaraati
ithhalaati nikal jaati hai aage
kabhi-kabhi bahut koshish ke baad
pakda uska haath
Lekin kadam rakhne se pehle hi wah
hath chhuda kar chali jaati hai
aur mai apni khaali
Hathheliyon ko dekhti reh jaati hu
jab-jab bhi maine karna chaha
sukhad sparsh uska
------------------
DALDAL
jitnee bhi aankhe dekhi
Udaas dekhi
hansee dekhi to
dard tairta hua dekha
Dard dekha to manjhhdhar me
chhupa hua insaan dekha
Ye kaisee duniya hai
jisme har koi daldal
me fansa hai
na bahar hai
aur na hi bhitar
----------------------------
ZINDAGI
Jindagi kabhi mujhhe
puri nahi mili
Jab bhi mili
boond-boond mili
jeevan kabhi ek saath
lagataar nahi mila
jab bhi mila
chhan-chhan me mila
maine bhi har boond ko
pee liya
thhoda-thhoda hi sahi
chhan-chhan ko jee liya
-------------------------
KHWAHISHE
Ab hansne ka mann nahi karta
kisi se milne ka mann nahi karta
Ye tamasha jise tum kehte ho duniya
uska tamashbeen banane ka mann nahi karta
Ek aaina tha, jo mere dekhte hi toot gaya
Uske tukdo me sanvarne ka mann nahi karta
wah jo jalta hai chiraago me dheere dheere
us khwab ko masalne ka mann nahi karta
jis dhhage se mai bandha hun is duniya se
kamzor hai, par todne ka mann nahi karta
Mai roz marta hu roj jeeta hu
magar Uff bhi karne ka mann nahi karta
----------------------------
KUCHH SAWAAL KUCHH JAWAAB
Jivan kuchh-kuchh adhura sa lagta hai
kuchh bhi paa lo
magar kuchh khone ka ehsaas sa lagta hai
chal rahe hai
par pichhe kuchh chhut gaya-aisa lagta hai
sach bolo mere saathi
kya tumko bhi kabhi aisa waisa lagta hai
Haan kyonki
is adhhurepan ke pichhe
Us purnatva ko paa lene ki chaah chhipi
kuchh bhi paa lene ke pichhe
uske khone ki sachhi kadwahat ruki
chalte hi rehna jeevan
par iske rookne ke pichhe hai maut chhipi yahi
jeevan darshan re
iske pichhe hi jeevan ki muskuraahat ruki
-----------------------
EK BAATCHEET BHAGWAAN KE SAATH
Preet ki yeh kya reet hui
jab tumse parichay bhi na tha
tum aaye, jeevan me samaaye
sahaara diya, haath thhame
bhav jagaaye
fir jaane kya bhool hui
pukaarti hu - din aur raat
subah aur shaam
aate ho, pal ko, chhip jaate ho
Aansoo ponchh dete ho, muskuraate ho
fir chhip jaate ho kahin jaakar
ye jaane kya baat hui
swar kanthh me aate hai - ruk jaate hai
bhaavo se bhara mann bhatak gaya
ye kaun thhak gaya??
ye mai nahi..awashya koi saaya hai
is saaye ko mita do - parda uthha do
mere bhaavo ke sutradhaar
meri saadhnaa sampann karo aakar
---------------------
JEEVAN SAAR
Aii zindagi tujhhse sawaal puchhte-puchhte
mai khud ek sawaal ban gayi hu
Andhero me roshni dhoondhte-dhoondhte
khud ek mashaal ban gayi hu
Na kisi ne sawaal sune
Na tha koi jo unke jawaab deta
Magar kismat ka takaaja dekho
Gali-gali ka charcha-a-haal ban gayi hu
Pyaar paane ko tadpaa mann ek din
ki badal gaye maane sneh sansaar ke
yeh nayaa arth prem ka samjhhte-samjhhte
Beshumaar prem ka ehsaas pa gayi hu
Paane ki chaah me khoya bahut kuchh
paane aur khone me antar kahan
Falsafaa jeevan ka yo samjhhte-samjhhte
sansaar me apne aane ka saar paa gayi hu
---------------------
KUCHH LIKHAA MAINE
Sochti hu aaj mai kuchh likh hi du
Kya kahoo, kisase kahoo, kuchh likh hi du
likhh du ki koi sunta nahi kisi ki yahan
hai har kisi ki apni ek alag duniya
Pyar ki sabko jaroorat hai magar
nafarato ki aag me jalte hai kyo
Sochti hu aaj mai kuchh likh hi du
Kya kahoo, kisase kahoo, kuchh likh hi du
Jo bhi aaya meri samajhh me sahi ya galat
kam se kam apni samajhh to likhh hi du
Sochti hu aaj mai kuchh likh hi du
Kya kahoo, kisase kahoo, kuchh likh hi du
MANN KI AWASTHHA
zab mann akulaata hai
tab khud se hi batlaata hai
simatataa hai kuchh tham jaata hai
jab mann machaltaa hai
kuchh todtaa hai
kuchh jodtaa hai
jab mann sambhaltaa hai
tab
saath sabhi ke chaltaa hai
------------------
ZINDAGI
shuru-aat ne kiya shuru meri jindagi ka silsila
Kafi dino ke baad jab se mai mila
kaha zindagi ne mujhhse tune ab talak kya paaya hai
kuchh paaya bhi hai ya nahi ya jeevan yu hi gawaya hai
Maine kaha, Aee zindagi!! kya puchhti hai mujhhse tu?
Tune hi to apne haatho mujhhe khel ye khilaaya hai
Mudh ke dekhaa jindagi ko tajurbe ne, fir ye kaha
kuchh khoya hai, kuchh paaya hai, kuchh waqt kiya jaaya hai
Nafrat ko bheja tune past karne mere imaan ko
to dekh nafrat kahan gayi jab pyar saamne paaya hai
Banda hu, ye bandagi hai, khidamat me gujare zindagi
Chand saanse bakhs de aur mujhhe maine apna sar jhhukaya hai
---------------
BOL
apni baat ko awaaz do, kuchh kaho ajnabi
Kuchh tumame bhi hai daba, usako kuredo ajnabi
Ye imtehaan mar ke bhi khatm na hoga
Is imtehaan ko aaine sa dekho ajnabi
Agar haar maan lee to haar jaoge
roshni me andhero se raho ajnabi
Ye ek khwaab hai har kisi ne dekha hai
is khwaab ke tootne se na tooto ajnabi
---------------------
SOME ONELINERS
Mai wo bhanwara hu, jo kaanto par bhi mandraya
Taqdeer me jo likha hai, wo sab nibhaya
Mai zindagi ki adalat se ba-izzat bari ho gaya
maut ne saara ilzaam apne sar le liya
Zindagi aur maut ek ghaat se paani piye
Sach to ye hai ki hum har pal jitana mare utna jiye
Har shakhs apna apna khudaa khud banata hai
jiskee nazare inayat se dil ko aaraam ho
Aadmi usi par fida hota hai